Jaun Elia Poetry in 2 Lines | Best John Elia Shayari | Adab Ki Poetry
Welcome to Adab ki Poetry, To All Readers.
Jaun Elia is a modern poet known for deep, emotional poetry on love and loneliness.
Jaun Elia Poetry Introduction In Roman Urdu
Tamam readers, yeh collection John Elia Poetry in Urdu ki aap sab ke liye tayar ki gayi hai. Yeh khaas tor par Jaun Elia Best Poetry par mabni hai jo aapka mood badalne ke liye kaafi hogi. Umeed hai ke aapko ye Jaun Elia Poetry Urdu collection pasand aayegi aur aap isey apne doston ke saath zaroor share karenge aur hamara hosla aur barhane ki koshish karenge.
Mazeed pardhein:
Allama Iqbal Urdu Poetry – Motivation Aur Inpiration Se Bhari Shayari
Top 20 Ahmad Faraz Poetry In Urdu With Heart Feelings
Best Jaun Elia Shayari In Urdu And Roman Urdu

تیرے آنے سے ،کچھ ذرا پہلے
بات تجھ سے ہی کر رہا تھا میں
Tere aane se, kuch zara pehle
Baat tujh se hi kar raha tha main

میری تعریف کرے یا مجھے بدنام کرے
جس نے جو بھی بات کرنی ہے سرعام کرے
Meri tareef kare ya mujhe badnaam kare
Jis ne jo bhi baat karni hai sar-e-aam kare

اپنے اندر ہنستا ہوں میں اور بہت شرماتا ہوں
خون بھی تھوکا سچ مچ تھوکا اور یہ سب چلاکی تھی
Apne andar hansta hoon main aur bohat sharmata hoon
Khoon bhi thooka, sach much thooka, aur yeh sab chalaaki thi

اب سنوارتے رہو بلا سے میری
دل نے سرکار خود کشی کر لی
Ab sanwaarte raho balaa se meri
Dil ne Sarkar khudkushi kar li

میں بھی بہت عجیب ہوں اتنا عجیب ہوں کہ بس
خود کو تباہ کر لیا اور ملال بھی نہیں۔
Main bhi bohat ajeeb hoon, itna ajeeb hoon ke bas
Khud ko tabaah kar liya aur malaal bhi nahin.

جو گزاری نہ جا سکی ہم سے
ہم نے وہ زندگی گزاری ہے۔
Jo guzari na jaa saki hum se
Hum ne woh zindagi guzari hai.

یہ مجھے چین کیوں نہیں پڑتا
ایک ہی شخص تھا جہان میں کیا۔
Yeh mujhe chain kyun nahin padta
Ek hi shakhs tha jahaan mein kya.

میری ہر بات بے اثر ہی رہی
نقص ہے میرے ہر بیاں میں کیا ؟
Meri har baat be-asar hi rahi
Nuqs hai mere har bayaan mein kya?

ہم کو یاروں نے یاد بھی نہ رکھا
جون یاروں کے یار تھے ہم تو
Hum ko yaaron ne yaad bhi na rakha
Jon yaaron ke yaar the hum to

کتنی دل کش ہو تم کتنا دلجو ہوں میں
کیا ستم ہے کہ ہم لوگ مر جائیں گے۔
Kitni dilkash ho tum, kitna diljo hoon main
Kya sitam hai ke hum log mar jaayenge.

علاج یہ ہے کہ مجبور کر دیا جاؤں
وگرنہ یوں تو کسی کی نہیں سنی میں نے۔
Ilaaj yeh hai ke majboor kar diya jaaun
Wagarna yun to kisi ki nahin suni main ne.

اس گلی نے یہ سن کے صبر کیا
جانے والے یہاں کے تھے ہی نہیں۔
Is gali ne yeh sun ke sabr kiya
Jaane wale yahan ke the hi nahin.

حاصل کن ہے یہ جہان خراب
یہی ممکن تھا اتنی عجلت میں۔
Haasil-e-kon hai yeh jahaan-e-kharaab
Yahi mumkin tha itni ujlat mein.

چاند تارے بلاوجہ خوش ہیں
میں تو کسی اور سے مُخاطب ہوں
Chaand taare bila wajah khush hain
Main to kisi aur se mukhatib hoon

ایک ناٹک ہے زندگی جس میں
آہ کی جائے، واہ کی جائے
Ek naatak hai zindagi jismein
Aah ki jaaye, waah ki jaaye

بہت نزدیک آتی جا رہی ہو
بچھڑنے کا ارادہ کر لیا کیا۔
Bohat nazdeek aati ja rahi ho
Bichharne ka iraada kar liya kya?

کیا کہا عشق جاودانی ہے
آخری بار مل رہی ہو کیا۔
Kya kaha ishq jawidani hai
Aakhri baar mil rahi ho kya?

دل تمنا سے ڈر گیا جانم
سارا نشہ اُتر گیا جانم
Dil tamanna se dar gaya janam
Saara nasha utar gaya janam

مستقل بولتا رہتا ہی رہتا ہوں
کتنا خاموش ہوں میں اندر سے
Mustaql bolta rehta hi rehta hoon
Kitna khamosh hoon main andar se

قیامت خیز ہیں آنکھیں تمہاری
تم آخر خواب کس کے دیکھتے ہو
Qayamat khaiz hain aankhen tumhaari
Tum aakhir khwab kis ke dekhte ho?
Final Words
Agar aap Jaun Elia ki shayari se waqif hain, to aap jaante hain ke unka har lafz dard, mohabbat aur soch ka sangam hota hai. Is collection ko parhne ke baad agar aapka dil halka ho jaye ya koi purani yaad taza ho jaye, to samajh lijiye ke hum apna maqsad poora kar chuke hain. Apna feedback zaroor dein, comment karein, aur is collection ko share kar ke Jaun Elia ki shayari ka jadoo dusron tak bhi pohchayen.
Adab Ki Poetry ko follow karna na bhoolein – jahan lafzon mein zindagi basti hai.
One Comment